haar-singar
tum ne dekhe haiñ kabhī hār-siñgār
vo dil-āvez se ma.asūm se do-rañge phuul
raat ko shāḳh pe khilte the sitāroñ kī tarah
vo bhalā din kī tamāzat ke sitam kyuuñ sahte
is liye āḳhir-e-shab apne hī husn se be-ḳhud ho kar
os se bhīge hue farsh pe kis pyaar se bichh jaate the
jaise kal raat yahāñ
za.afarāñ rañg kī chādar pe bikhere hoñ kisī ne motī
aur har roz savere koī bachchī aa kar
farsh-e-gul par bahut āhista se chaltī thī
ḳhayāloñ meñ pahuñch jaatī thī
is paristāñ meñ ki jis kī pariyāñ
raat ko farsh pe ye phuul bichhā jaatī thiiñ
yaad galiyoñ se guzartī huuñ to bachpan ke kisī moḌ pe mil jaate hai
vahī ma.asūm, dil-āvez, subuk hār-siñgār
jāntī huuñ maiñ vahāñ
ab mire sahn kī dīvār ke us paar nahīñ koī daraḳht
ab vahāñ ek imārat hai bahut ūñchī sī
tum ne dekhe hain kabhi haar-singar
wo dil-awez se masum se do-range phul
raat ko shaKH pe khilte the sitaron ki tarah
wo bhala din ki tamazat ke sitam kyun sahte
is liye aaKHir-e-shab apne hi husn se be-KHud ho kar
os se bhige hue farsh pe kis pyar se bichh jate the
jaise kal raat yahan
zafaran rang ki chadar pe bikhere hon kisi ne moti
aur har roz sawere koi bachchi aa kar
farsh-e-gul par bahut aahista se chalti thi
KHayalon mein pahunch jati thi
is paristan mein ki jis ki pariyan
raat ko farsh pe ye phul bichha jati thin
yaad galiyon se guzarti hun to bachpan ke kisi moD pe mil jate hai
wahi masum, dil-awez, subuk haar-singar
jaanti hun main wahan
ab mere sahn ki diwar ke us par nahin koi daraKHt
ab wahan ek imarat hai bahut unchi si
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.