haarun ki aawaz
dekho abhī hai vādī-e-kan.āñ nigāh meñ
taaza har ek naqsh-e-kaf-e-pā hai raah meñ
yāqūb be-basar sahī yūsuf kī chaah meñ
lahrā rahā hai aaj bhī turra kulāh meñ
ye turra gir gayā to ulaT jā.egī zamīñ
mahvar se apne aur bhī haT jā.egī zamīñ
tārīḳh ke safar meñ ġhalat bhī qadam uThe
gaahe libās-e-faqr meñ ahl-e-hasham uThe
gaahe sanam-tarāsh ba-nām-e-haram uThe
parde nigāh ke bhī magar besh o kam uThe
yuuñ bhī huā dahā.ī ikaa.ī meñ Dhal ga.ī
ḳhurshīd ke alaao meñ har shai pighal ga.ī
jab yuuñ na ho sakā to ye tārīḳh hai gavāh
uTThe asā-ba-dast ġhulmān-e-kaj-kulāh
zer-e-zamīñ kushāda huī zindagī kī raah
aur kuchh na kar sakī kisī fir.aun kī sipāh
har mauj-e-nīl saañp sī bal khā ke rah ga.ī
ahrām kī nigāh bhī pathrā ke rah ga.ī
azdād kī ye jañg usūl-e-qadīm hai
aur ab ki aadmī kī ikaa.ī do-nīm hai
aflāk ke tale sahī miTTī aziim hai
hārūn kī zabān bhī lauh-e-kalīm hai
had se guzar na jaa.eñ kahīñ kam-tarīn log
muusā ke intizār meñ haiñ be-zamīn log
dekho abhi hai wadi-e-kanan nigah mein
taza har ek naqsh-e-kaf-e-pa hai rah mein
yaqub be-basar sahi yusuf ki chah mein
lahra raha hai aaj bhi turra kulah mein
ye turra gir gaya to ulaT jaegi zamin
mahwar se apne aur bhi haT jaegi zamin
tariKH ke safar mein ghalat bhi qadam uThe
gahe libas-e-faqr mein ahl-e-hasham uThe
gahe sanam-tarash ba-nam-e-haram uThe
parde nigah ke bhi magar besh o kam uThe
yun bhi hua dahai ikai mein Dhal gai
KHurshid ke alao mein har shai pighal gai
jab yun na ho saka to ye tariKH hai gawah
uTThe asa-ba-dast ghulman-e-kaj-kulah
zer-e-zamin kushada hui zindagi ki rah
aur kuchh na kar saki kisi firaun ki sipah
har mauj-e-nil sanp si bal kha ke rah gai
ahram ki nigah bhi pathra ke rah gai
azdad ki ye jang usul-e-qadim hai
aur ab ki aadmi ki ikai do-nim hai
aflak ke tale sahi miTTi azim hai
haarun ki zaban bhi lauh-e-kalim hai
had se guzar na jaen kahin kam-tarin log
musa ke intizar mein hain be-zamin log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.