hasil ka safar
tanhā.ī kī ḳhāmoshī meñ
jī bekār ulajhtā hai
zaar o pareshāñ rahtā huuñ
lekin logoñ ke jamghaT meñ
ik mohmal se shor-o-ġhul meñ
shaḳhsiyyat samjhaute ke tezāb meñ hal ho jaatī hai
dil hotā hai aur pashemāñ
tanhā.ī kī ḳhāmoshī meñ
bhuut shikast-o-nākāmī ke
ik ik kar ke mujh se jab bhī mahv-e-takallum hote haiñ
mujh ko apnā ūñchā sā qad chhoTā chhoTā lagtā hai
maiñ ik zarra ek sitāra ban jaatā huuñ
lekin maiñ vo taara kab huuñ
kab in tāroñ meñ shāmil huuñ
le ke ujālā jo māñge kā
apnī aab baḌhāne kī nāhaq sī koshish karte haiñ
tanhā.ī kī ḳhāmoshī!
ye ghūñT hai ik zahr-e-qātil kā
ghūñT hai ik amrit kā bhī ye
ghūñT maiñ donoñ pī letā huuñ
raat ga.e ujle bistar par
so jaatā huuñ
pahlī kiran ke saath
sunahrī pagDanDī kā ho jaatā huuñ
tanhai ki KHamoshi mein
ji bekar ulajhta hai
zar o pareshan rahta hun
lekin logon ke jamghaT mein
ek mohmal se shor-o-ghul mein
shaKHsiyyat samjhaute ke tezab mein hal ho jati hai
dil hota hai aur pasheman
tanhai ki KHamoshi mein
bhut shikast-o-nakaami ke
ek ek kar ke mujh se jab bhi mahw-e-takallum hote hain
mujh ko apna uncha sa qad chhoTa chhoTa lagta hai
main ek zarra ek sitara ban jata hun
lekin main wo tara kab hun
kab in taron mein shamil hun
le ke ujala jo mange ka
apni aab baDhane ki nahaq si koshish karte hain
tanhai ki KHamoshi!
ye ghunT hai ek zahr-e-qatil ka
ghunT hai ek amrit ka bhi ye
ghunT main donon pi leta hun
raat gae ujle bistar par
so jata hun
pahli kiran ke sath
sunahri pagDanDi ka ho jata hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.