hath khol diye jaen
mere haath khol diye jaa.eñ
to maiñ
is duniyā kī dīvāroñ ko
apne ḳhvāboñ kī lakīroñ se
siyāh kar duuñ
aur qahr kī bārish barsā.ūñ
aur is duniyā ko apnī hathelī par rakh kar
masal duuñ
merā dāman ḳhvāboñ ke añdhere meñ
phailā huā hai
mere ḳhvāb phāñsī par chaḌhā diye ga.e
merā bachcha mere peT se chhīn liyā gayā
merā ghar qahr-ḳhānoñ ke astabal ke liye
khol diyā gayā
mujhe be-zīn ghoḌe par
añdhere maidānoñ meñ utaar diyā gayā hai
merī zanjīr kā sirā kis ke paas hai?
qayāmat ke shor se pahle
maiñ apnī dhajjiyoñ ko sameT luuñ
apne bachchoñ ko āḳhirī baar ġhizā farāham kar duuñ
aur zahr kā piyāla pī luuñ
merī zanjīr khol dī jaa.e
us kā sirā kis ke haath meñ hai?
mere hath khol diye jaen
to main
is duniya ki diwaron ko
apne KHwabon ki lakiron se
siyah kar dun
aur qahr ki barish barsaun
aur is duniya ko apni hatheli par rakh kar
masal dun
mera daman KHwabon ke andhere mein
phaila hua hai
mere KHwab phansi par chaDha diye gae
mera bachcha mere peT se chhin liya gaya
mera ghar qahr-KHanon ke astabal ke liye
khol diya gaya
mujhe be-zin ghoDe par
andhere maidanon mein utar diya gaya hai
meri zanjir ka sira kis ke pas hai?
qayamat ke shor se pahle
main apni dhajjiyon ko sameT lun
apne bachchon ko aaKHiri bar ghiza faraham kar dun
aur zahr ka piyala pi lun
meri zanjir khol di jae
us ka sira kis ke hath mein hai?
- Book : AN EVENING OF CAGED BEASTS (Pg. 94)
- Author : Asif Farrukhi
- Publication : Ameena Saiyid, Oxford University (1999)
- Edition : 1999
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.