habib-jalib
vo ek lamha jo sach bolne se Dartā hai
jo zulm sahtā hai jabr iḳhtiyār kartā hai
vo lamha maut kī vaadī meñ jā utartā hai
magar jo bār-e-sadāqat uThā ke zinda hai
sitamgaroñ ke sitam aazmā ke zinda hai
vo lamha apne lahū meñ nahā ke zinda hai
vo ek lamha ki tārīḳh jis se raushan hai
matā-e-ḳhāk usī ke lahū kā ḳhirman hai
davām-e-fasl-e-bahārāñ sabāt-e-gulshan hai
vo ek lamha hazāroñ baras pe ġhālib hai
jo aadmī ke liye azmatoñ kā tālib hai
vo ek lamha nahīñ hai 'habīb-jālib' hai
wo ek lamha jo sach bolne se Darta hai
jo zulm sahta hai jabr iKHtiyar karta hai
wo lamha maut ki wadi mein ja utarta hai
magar jo bar-e-sadaqat uTha ke zinda hai
sitamgaron ke sitam aazma ke zinda hai
wo lamha apne lahu mein naha ke zinda hai
wo ek lamha ki tariKH jis se raushan hai
mata-e-KHak usi ke lahu ka KHirman hai
dawam-e-fasl-e-bahaaran sabaat-e-gulshan hai
wo ek lamha hazaron baras pe ghaalib hai
jo aadmi ke liye azmaton ka talib hai
wo ek lamha nahin hai 'habib-jalib' hai
- Book : Pakistani Adab (Pg. 137)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.