hairat
sub.h ko shāḳh par
nuqta-e-ḳhud-nigar
yā numū kā asar
dūsrī sub.h vo
chashm-e-ḳhvābīda vā
kar ke kahne lagā
ye jahāñ ḳhūb-tar
kyā fazā kyā havā
chahchahe dilrubā
mustazād us pe ye
ham-chū man dīgare
ke buvad dar-jahāñ
nuqta-e-ḳhud-nigar
jo ki thā ik sharar
ban gayā sho.ala-ḳhū
markaz-e-har-nazar
dāman-e-bād ne kuchh havā us ko dī
us kī lapToñ se dāmān-e-sahn-e-chaman
thā mo.attar mo.attar magar shaam tak
sub.h dīgar usī dāman-e-bād ne
sab ma.āsir numū ke kiye muntashir
chashm-e-hairat khulī kī khulī rah ga.ī
muḳhtasar itnī thī
itnī thī muḳhtasar
subh ko shaKH par
nuqta-e-KHud-nigar
ya numu ka asar
dusri subh wo
chashm-e-KHwabida wa
kar ke kahne laga
ye jahan KHub-tar
kya faza kya hawa
chahchahe dilruba
mustazad us pe ye
ham-chu man digare
ke buwad dar-jahan
nuqta-e-KHud-nigar
jo ki tha ek sharar
ban gaya shoala-KHu
markaz-e-har-nazar
daman-e-baad ne kuchh hawa us ko di
us ki lapTon se daman-e-sahn-e-chaman
tha moattar moattar magar sham tak
subh digar usi daman-e-baad ne
sab maasir numu ke kiye muntashir
chashm-e-hairat khuli ki khuli rah gai
muKHtasar itni thi
itni thi muKHtasar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.