halchal
mujhe achchhā nahīñ lagtā
khaḌā ḳhāmosh sā dariyā
koī halchal ho
tūfāñ ho
koī to bādbāñ TuuTe
koī to nāḳhudā aisā ho jo bād-e-muḳhālif ko
palaT de zor-e-bāzū se
nā kashtī Dagmagā.e us kī lahroñ ke talātum par
nā kashtī Doltī jaa.e havā ke ruḳh pe sāhil par
bahut girdāb bhī hoñge
bahut bhauñchāl ā.eñge
ho aisā nā-ḳhudā ki jo bhañvar meñ Duub na jaa.e
ḳhud apnī zaat ke īqān par bāhar nikal aa.e
yaqīñ ho aap par to sāhiloñ ko chhoḌ dete haiñ
bharosa ho basīrat par to dariyā moḌ dete haiñ
yuuñ apne aap meñ tūfān kī halchal machā rakkho
ki tuġhyānī nahīñ aatī to dariyā suukh jaate haiñ
mujhe achchha nahin lagta
khaDa KHamosh sa dariya
koi halchal ho
tufan ho
koi to baadban TuTe
koi to naKHuda aisa ho jo baad-e-muKHalif ko
palaT de zor-e-bazu se
na kashti Dagmagae us ki lahron ke talatum par
na kashti Dolti jae hawa ke ruKH pe sahil par
bahut girdab bhi honge
bahut bhaunchaal aaenge
ho aisa na-KHuda ki jo bhanwar mein Dub na jae
KHud apni zat ke iqan par bahar nikal aae
yaqin ho aap par to sahilon ko chhoD dete hain
bharosa ho basirat par to dariya moD dete hain
yun apne aap mein tufan ki halchal macha rakkho
ki tughyani nahin aati to dariya sukh jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.