halki-phulki likhai
dhuul meñ lipTī
dublī sī halkī-phulkī
merī ye likhā.ī
kyā huā
jo mahñge kapḌe nahīñ pahantī
kisī ke banā.e hue raste pe nahīñ chaltī
zarā sā muñh dho le agar
Thokaroñ se bhar ke peT apnā
thoḌā mīThā bhī khā le agar
to use bhī mahñge kapḌe dilā deñge ham
koī naam de deñge use ik din
sāf-suthre kisī raste pe Tahlā karegī ye
aur mujhe bulā.eñge
ek din
dhul mein lipTi
dubli si halki-phulki
meri ye likhai
kya hua
jo mahnge kapDe nahin pahanti
kisi ke banae hue raste pe nahin chalti
zara sa munh dho le agar
Thokaron se bhar ke peT apna
thoDa miTha bhi kha le agar
to use bhi mahnge kapDe dila denge hum
koi nam de denge use ek din
saf-suthre kisi raste pe Tahla karegi ye
aur mujhe bulaenge
ek din
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.