hallucination
maiñ apne band kamre meñ paḌā huuñ
aur ik dīvār par nazreñ jamā.e
manāzir ke ajūbe dekhtā huuñ
usī dīvār meñ koī ḳhalā hai
mujhe jo ġhaar jaisā lag rahā hai
vahāñ makḌī ne jaal bun liyā hai
aur ab apne hī jaal meñ phañsī hai
vahīñ par ek murda chhipkilī hai
ka.ī sadiyoñ se jo sākit paḌī hai
ab us par kaa.ī jamtī jā rahī hai
aur us meñ ek jañgal dikh rahā hai
daraḳhtoñ se parinde gir rahe haiñ
kulhāḌī shāḳh par laTkī huī hai
lakaḌhāre pe gīdaḌ hañs rahe
musalsal tez bārish ho rahī hai
kisī patte se gir kar ek qatra
achānak ek samundar ban gayā hai
samundar naav se laḌne lagā hai
machherā machhliyoñ meñ ghir gayā hai
aur ab patvār siine se lagā kar
vo niile āsmāñ ko dekhtā hai
jo yak-dam zard paḌtā jā rahā hai
vo kaise ret bantā jā rahā hai
mujhe ab sirf sahrā dikh rahā hai
aur us meñ dhuum kī chādar bichhī hai
magar vo ek jagah se phaT rahī hai
vahāñ par ek saaya nāchtā hai
jahāñ bhī pair dhartā hai vahāñ par
sunahre phuul khilte jā rahe hai
ye sahrā baaġh bantā jā rahā hai
aur us meñ titliyāñ dikhtī haiñ
paroñ meñ jin ke niilī raushnī hai
vo har pal tez hotī jā rahī hai
so merī aañkh meñ chubhne lagī hai
so maiñ ne haath āñkhoñ par rakhe haiñ
aur ab uñglī haTā kar dekhtā huuñ
ki apne band kamre meñ paḌā huuñ
aur ik dīvār ke aage khaḌā huuñ
main apne band kamre mein paDa hun
aur ek diwar par nazren jamae
manazir ke ajube dekhta hun
usi diwar mein koi KHala hai
mujhe jo ghaar jaisa lag raha hai
wahan makDi ne jal bun liya hai
aur ab apne hi jal mein phansi hai
wahin par ek murda chhipkili hai
kai sadiyon se jo sakit paDi hai
ab us par kai jamti ja rahi hai
aur us mein ek jangal dikh raha hai
daraKHton se parinde gir rahe hain
kulhaDi shaKH par laTki hui hai
lakaDhaare pe gidaD hans rahe
musalsal tez barish ho rahi hai
kisi patte se gir kar ek qatra
achanak ek samundar ban gaya hai
samundar naw se laDne laga hai
machhera machhliyon mein ghir gaya hai
aur ab patwar sine se laga kar
wo nile aasman ko dekhta hai
jo yak-dam zard paDta ja raha hai
wo kaise ret banta ja raha hai
mujhe ab sirf sahra dikh raha hai
aur us mein dhum ki chadar bichhi hai
magar wo ek jagah se phaT rahi hai
wahan par ek saya nachta hai
jahan bhi pair dharta hai wahan par
sunahre phul khilte ja rahe hai
ye sahra bagh banta ja raha hai
aur us mein titliyan dikhti hain
paron mein jin ke nili raushni hai
wo har pal tez hoti ja rahi hai
so meri aankh mein chubhne lagi hai
so main ne hath aankhon par rakhe hain
aur ab ungli haTa kar dekhta hun
ki apne band kamre mein paDa hun
aur ek diwar ke aage khaDa hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.