hum anjam
mirī mānind vo bhī
zulmat-e-shab kī musāfir thī
añdhere rāstoñ meñ
sub.h-e-nau ke ḳhvāb
āñkhoñ meñ sajā.e
ba-nām manzil be-nām
uftāñ aur ḳhezāñ
qadam apne baḌhā.e
sahar kā ḳhvāb
āñkhoñ meñ sajā.e
safar jitnā bhī ham tai kar rahe the
masāfat thī ki baḌhtī jā rahī thī
sukūt-e-sub.h kī māyūsiyoñ meñ
jo ik tanhā rafīq-e-rahravī thī
vahī sham-e-tamannā bujh rahī thī
azāb-e-tīrgī nāzil huā
mujh par bhī is par bhī
ki ye hukm-e-falak thā
sahar kā ḳhvāb
donoñ kā gunāh mushtarak thā
meri manind wo bhi
zulmat-e-shab ki musafir thi
andhere raston mein
subh-e-nau ke KHwab
aankhon mein sajae
ba-nam manzil be-nam
uftan aur KHezan
qadam apne baDhae
sahar ka KHwab
aankhon mein sajae
safar jitna bhi hum tai kar rahe the
masafat thi ki baDhti ja rahi thi
sukut-e-subh ki mayusiyon mein
jo ek tanha rafiq-e-rahrawi thi
wahi sham-e-tamanna bujh rahi thi
azab-e-tirgi nazil hua
mujh par bhi is par bhi
ki ye hukm-e-falak tha
sahar ka KHwab
donon ka gunah mushtarak tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.