hum apni zindagi ke liye shukr-guzar hain
apnī zindagī ke liye
ham ek qatl ke shukr-guzār haiñ
jise mo.aḳhḳhar kar diyā gayā
varna ek mohabbat thī
jo ham ne dil meñ chhupā kar rakkhī huī thī
aur ek nafrat thī
jis kā patā ham kisī ko nahīñ lagne dete the
varna ham ne
vahī qusūr kiye the jo
maare jaane vāloñ ne kiye the
varna hamāre bāpoñ
hamāre jaane kī vajah
hamāre birth-certificate meñ darj karā dī thī
apnī zindagī ke liye ham
ek qatl ke shukr-guzār haiñ
jise mo.aḳhḳhar kar diyā gayā
varna hameñ sirf
ek ḳhud-kushī kā mamnūn rahnā paḌtā
jo ham ne multavī kar rakkhī thī
apni zindagi ke liye
hum ek qatl ke shukr-guzar hain
jise moaKHKHar kar diya gaya
warna ek mohabbat thi
jo hum ne dil mein chhupa kar rakkhi hui thi
aur ek nafrat thi
jis ka pata hum kisi ko nahin lagne dete the
warna hum ne
wahi qusur kiye the jo
mare jaane walon ne kiye the
warna hamare bapon
hamare jaane ki wajah
hamare birth-certificate mein darj kara di thi
apni zindagi ke liye hum
ek qatl ke shukr-guzar hain
jise moaKHKHar kar diya gaya
warna hamein sirf
ek KHud-kushi ka mamnun rahna paDta
jo hum ne multawi kar rakkhi thi
- Book : mamnu.u mausamon ki kitab (Pg. 16)
- Author : sayed kashif raza
- Publication : A,G Printing sarvices karachi (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.