ham-asr
tū bhī kuchh pareshāñ hai
tū bhī sochtī hogī
tere naam kī shohrat tere kaam kyā aa.ī
maiñ bhī kuchh pashemāñ huuñ
maiñ bhī ġhaur kartā huuñ
mere kaam kī azmat mere kaam kyā aa.ī
tere ḳhvāb bhī suune
mere ḳhvāb bhī suune
terī merī shohrat se
tere mere ġham duune
tū bhī ik sulagtā ban
maiñ bhī ik sulagtā ban
terī qabr terā fan
merī qabr merā fan
ab tujhe maiñ kyā dūñgā
ab mujhe tū kyā degā
terī merī ġhaflat ko
zindagī sazā degī
tū bhī kuchh pareshāñ hai
tū bhī sochtī hogī
tere naam kī shohrat tere kaam kyā aa.ī
maiñ bhī kuchh pashemāñ huuñ
maiñ bhī ġhaur kartā huuñ
mere kaam kī azmat mere kaam kyā aa.ī
tu bhi kuchh pareshan hai
tu bhi sochti hogi
tere nam ki shohrat tere kaam kya aai
main bhi kuchh pasheman hun
main bhi ghaur karta hun
mere kaam ki azmat mere kaam kya aai
tere KHwab bhi sune
mere KHwab bhi sune
teri meri shohrat se
tere mere gham dune
tu bhi ek sulagta ban
main bhi ek sulagta ban
teri qabr tera fan
meri qabr mera fan
ab tujhe main kya dunga
ab mujhe tu kya dega
teri meri ghaflat ko
zindagi saza degi
tu bhi kuchh pareshan hai
tu bhi sochti hogi
tere nam ki shohrat tere kaam kya aai
main bhi kuchh pasheman hun
main bhi ghaur karta hun
mere kaam ki azmat mere kaam kya aai
- Book : Kulliyat-e-Sahir Ludhianvi (Pg. 203)
- Author : SAHIR LUDHIANVI
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.