hum daur jahiliyat ke shair
har nazm
duniyā kī ḳhūb-sūratī meñ izāfa kartī hai
har paidā hone vaalī bachchī kī tarah
magar ham apnī zindagī daur-e-jāhiliyyat meñ jī rahe haiñ
jo samajh nahīñ ātīñ
un nazmoñ ko zinda dargor kar dete haiñ
aur hameñ vo paiġhambar bhī nahīñ miltā
ki jis ke sāmne apne gunāh kā e'tirāf kareñ
aur us kī dāḌhī bhigo deñ
kal ek nazm huī
lekin post karte hī haTā lī maiñ ne
jaane kyoñ
har nazm
duniya ki KHub-surati mein izafa karti hai
har paida hone wali bachchi ki tarah
magar hum apni zindagi daur-e-jahiliyyat mein ji rahe hain
jo samajh nahin aatin
un nazmon ko zinda dargor kar dete hain
aur hamein wo paighambar bhi nahin milta
ki jis ke samne apne gunah ka e'tiraf karen
aur us ki daDhi bhigo den
kal ek nazm hui
lekin post karte hi haTa li main ne
jaane kyon
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.