hum din-dar bachche
Interesting Fact
Derived From: Yaad-o-Nishat
ham madrasoñ ke bachche
bande ḳhudā ke sachche
tauhīd meñ haiñ pakke
aḳhlāq meñ haiñ achchhe
ham dīn-dār bachche
islām ke sitāre
īmān ke sharāre
raushan haiñ pyāre pyāre
chamkeñge jag meñ saare
ham dīn-dār bachche
tauhīd ke alam se
sunnat ke dam-qadam se
Dartā hai shirk ham se
bid'āt duur ham se
ham dīn-dār bachche
maazī kī dāstāñ haiñ
hālāt kā bayāñ hai
millat ke pāsbāñ haiñ
dil narm saḳht jaañ haiñ
ham dīn-dār bachche
ye madrase ilāhī
bachchoñ ke qasr-e-shāhī
deñ diin kī gavāhī
jab tak haiñ mahr-o-māhī
ham dīn-dār bachche
hum madrason ke bachche
bande KHuda ke sachche
tauhid mein hain pakke
aKHlaq mein hain achchhe
hum din-dar bachche
islam ke sitare
iman ke sharare
raushan hain pyare pyare
chamkenge jag mein sare
hum din-dar bachche
tauhid ke alam se
sunnat ke dam-qadam se
Darta hai shirk hum se
bid'at dur hum se
hum din-dar bachche
mazi ki dastan hain
haalat ka bayan hai
millat ke pasban hain
dil narm saKHt jaan hain
hum din-dar bachche
ye madrase ilahi
bachchon ke qasr-e-shahi
den din ki gawahi
jab tak hain mahr-o-mahi
hum din-dar bachche
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.