hum donon mein se ek
ham bahut thoḌe log haiñ
vo bahut zyāda
ham lā-parvāh haiñ ḳhud apnī zaat se
hameñ ek dūsre ke mafādāt kī kyā fikr
vo aapas meñ shīr-o-shakar haiñ
aur hameñ kamzor rakhne ke liye
sāz-bāz karte rahte haiñ
un kī ta.adād baḌhtī jā rahī hai
joñ joñ hamāre log
hameñ chhoḌ kar
un ke paas jā rahe haiñ
ham kisī ko nahīñ rokte
balki koī ek qadam bhī aage baḌhā.e
to farz kar lete haiñ
ki vo un kī jānib baḌh rahā hai
vo muntazir dekhte rahte haiñ
kab koī hamāre dā.ere se thoḌā sā bāhar nikle
aur vo use rijhā kar apne saath milā leñ
un ke paas ga.e logoñ meñ
ho saktā hai ab koī afsos kartā ho
aur vāpas aanā chāhe
magar ham us kī parvāh bahut kam karte haiñ
aur ye mumkin bhī nahīñ hai
kyūñki
un ke saath vaqt zaa.e karne vāloñ ke paas
hamāre liye vaqt bach nahīñ saktā
vo intizār meñ haiñ
bas ham meñ se ek āḳhirī bach jaa.e
to vo use patthar maar kar halāk kar Dāleñ
ham ek dūsre ko dekh rahe haiñ
aur Dar rahe haiñ
kyā ham donoñ meñ se koī
dūsre ko patthar māregā!
hum bahut thoDe log hain
wo bahut zyaada
hum la-parwah hain KHud apni zat se
hamein ek dusre ke mafadat ki kya fikr
wo aapas mein shir-o-shakar hain
aur hamein kamzor rakhne ke liye
saz-baz karte rahte hain
un ki tadad baDhti ja rahi hai
jon jon hamare log
hamein chhoD kar
un ke pas ja rahe hain
hum kisi ko nahin rokte
balki koi ek qadam bhi aage baDhae
to farz kar lete hain
ki wo un ki jaanib baDh raha hai
wo muntazir dekhte rahte hain
kab koi hamare daere se thoDa sa bahar nikle
aur wo use rijha kar apne sath mila len
un ke pas gae logon mein
ho sakta hai ab koi afsos karta ho
aur wapas aana chahe
magar hum us ki parwah bahut kam karte hain
aur ye mumkin bhi nahin hai
kyunki
un ke sath waqt zae karne walon ke pas
hamare liye waqt bach nahin sakta
wo intizar mein hain
bas hum mein se ek aaKHiri bach jae
to wo use patthar mar kar halak kar Dalen
hum ek dusre ko dekh rahe hain
aur Dar rahe hain
kya hum donon mein se koi
dusre ko patthar marega!
- Book : Quarterly TASTEER Lahore (Pg. 546)
- Author : Naseer Ahmed Nasir
- Publication : H.No.-21, Street No. 2, Phase II, Bahriya Town, Rawalpindi (Volume:15, Issue No. 1, 2, Jan To June.2011)
- Edition : Volume:15, Issue No. 1, 2, Jan To June.2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.