hum ghubar-e-rahguzar
ham ġhubār-e-rahguzar
hai ye qissa muḳhtasar
sun zamīñ kī siskiyāñ
āsmāñ nīche utar
ek akelī jaan hai
chaar samtoñ meñ bhañvar
sau dukāneñ khul ga.iiñ
ik ḳhudā ke naam par
aadmī ḳhush hai bahut
aadmī ko maar kar
zindagī kā lutf le
imtihānoñ se guzar
zehn kī bedāriyāñ
ik musalsal dard-e-sar
aa.egī uftād bhī
ek din uftād par
ġhair se rishte banā
sahn meñ dīvār kar
vāqa.ī nārāz huuñ
rāsta hamvār kar
mutma.in se ho ga.e
aa.ine ko toḌ kar
āfateñ TūTīñ bahut
is dil-e-nādār par
lag kabhī siine se lag
kar kabhī hairān kar
āḳhirash jī hī liye
apne jī ko maar kar
ai ḳhudā mere ḳhudā
rāsta āsān kar
hum ghubar-e-rahguzar
hai ye qissa muKHtasar
sun zamin ki siskiyan
aasman niche utar
ek akeli jaan hai
chaar samton mein bhanwar
sau dukanen khul gain
ek KHuda ke nam par
aadmi KHush hai bahut
aadmi ko mar kar
zindagi ka lutf le
imtihanon se guzar
zehn ki bedariyan
ek musalsal dard-e-sar
aaegi uftad bhi
ek din uftad par
ghair se rishte bana
sahn mein diwar kar
waqai naraaz hun
rasta hamwar kar
mutmain se ho gae
aaine ko toD kar
aafaten TuTin bahut
is dil-e-nadar par
lag kabhi sine se lag
kar kabhi hairan kar
aaKHirash ji hi liye
apne ji ko mar kar
ai KHuda mere KHuda
rasta aasan kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.