hum jaante hain
yuuñ hī milnā thā to pahle hī kahīñ mil jaate
is tarah kis liye
har moḌ pe ham ghabrāte
ab mile ho to
ajab tarah kā Dar hai jī ko
zindagī kī kahīñ ye bhī to koī chaal nahīñ
ab to yuuñ hai ki
ḳhushī pā ke bhī vahm aatā hai
ye bhī barbādī-e-dil kī to koī faal nahīñ
ḳhair aao chalo
do-chār ghaḌī mil baiTheñ
koī paimān-e-vafā bāñdheñ
na iqrār kareñ
tazkira shauq kā chheḌeñ na hī
inkār kareñ
koī darmāñ nahīñ is dard kā
tum jānte ho
koī hāsil nahīñ is ḳhvāb kā
ham jānte haiñ
jānte haiñ to
sañvāreñ na sitāre dil meñ
paas baiThe raheñ
bas yuuñ hī koī baat kareñ
yun hi milna tha to pahle hi kahin mil jate
is tarah kis liye
har moD pe hum ghabraate
ab mile ho to
ajab tarah ka Dar hai ji ko
zindagi ki kahin ye bhi to koi chaal nahin
ab to yun hai ki
KHushi pa ke bhi wahm aata hai
ye bhi barbaadi-e-dil ki to koi fal nahin
KHair aao chalo
do-chaar ghaDi mil baiThen
koi paiman-e-wafa bandhen
na iqrar karen
tazkira shauq ka chheDen na hi
inkar karen
koi darman nahin is dard ka
tum jaante ho
koi hasil nahin is KHwab ka
hum jaante hain
jaante hain to
sanwaren na sitare dil mein
pas baiThe rahen
bas yun hi koi baat karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.