hum kaamyab honge
ham kāmyāb hoñge
aur be-hisāb hoñge
ham kāmyāb hoñge
mausam bahār kā hai
nikhrī huī fazā hai
bedār hausla hai
phūloñ kā zikr kyā hai
tinke bhī is chaman ke
ik din gulāb hoñge
ham kāmyāb hoñge
hoñ laakh tez dhāre
pahūñcheñge ham kināre
karte haiñ ye ishāre
baḌhte qadam hamāre
dekheñ haiñ jo vatan ne
puure vo ḳhvāb hoñge
ham kāmyāb hoñge
nafrat miTā.eñge ham
ulfat jagā.eñge ham
rūThe manāeñge ham
jiinā sikhā.eñge ham
insāniyat ke har sū
bajte rabāb hoñge
ham kāmyāb hoñge
hum kaamyab honge
aur be-hisab honge
hum kaamyab honge
mausam bahaar ka hai
nikhri hui faza hai
bedar hausla hai
phulon ka zikr kya hai
tinke bhi is chaman ke
ek din gulab honge
hum kaamyab honge
hon lakh tez dhaare
pahunchenge hum kinare
karte hain ye ishaare
baDhte qadam hamare
dekhen hain jo watan ne
pure wo KHwab honge
hum kaamyab honge
nafrat miTaenge hum
ulfat jagaenge hum
ruThe manaenge hum
jina sikhaenge hum
insaniyat ke har su
bajte rabab honge
hum kaamyab honge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.