hum KHud bhi apne sath nahin
ik kabhī na bītne vaalī shab
ik haath na aane vaalā din
is shab se jaan chhuḌāne meñ
us din ko DhūñD ke laane meñ
ham reza reza ho ke rahe
jo paayā thā vo kho ke rahe
is paane meñ is khone meñ
hone meñ aur na hone meñ
kuchh sūd-o-ziyāñ kā haath hai kyā
yā aur hī koī baat hai kyā
is saarī izāfī bātoñ meñ
bas ek hī baat zarūrī hai
yaañ shab kī sahar se duurī hai
is shab ke tasalsul meñ pinhāñ
ik ghor añdherā jahl kā hai
jis jahl kī kaalī āñdhī ne
jīvan ke sach ko chaaT liyā
aur ham ne isī vīrānī meñ
ik andhā jīvan kaaT liyā
is kaale andhe jīvan meñ
ġhurbat kī tīra-baḳhtī ne
kuchh qismat ke ehsān ne bhī
kuchh jabr-e-vaqt kī saḳhtī ne
insān se kyā kuchh chhīnā hai
ye jiinā kaisā jiinā hai
pasmāñdgī-e-jāñ ruuh talak
dar aa.ī siyāhī oḌhe hue
ham maqtal-e-shab meñ aa baiThe
inkār kā dāman chhoḌe hue
inkār ki jis kī jumbish-e-lab
har shab kī sahar ban saktī hai
ye jur.at-o-nā-farmānī-e-shab
bebas kī sipar ban saktī hai
phir kyoñ is qatl-gah-e-shab meñ
aa baiThe haiñ jī haar ke ham
iqrār se lab āsūda sahī
munkir to nahīñ inkār ke ham
is shab-dar-shab tārīkī meñ
jo raat bhī hai vo raat nahīñ
is hārne vaalī baazī meñ
jo maat bhī hai vo maat nahīñ
kuchh qismat kī saffākī nahīñ
kuchh sūd-o-ziyāñ kā haath nahīñ
bas ek hī dukh be-pāyāñ hai
ham ḳhud bhī apne saath nahīñ
ek kabhi na bitne wali shab
ek hath na aane wala din
is shab se jaan chhuDane mein
us din ko DhunD ke lane mein
hum reza reza ho ke rahe
jo paya tha wo kho ke rahe
is pane mein is khone mein
hone mein aur na hone mein
kuchh sud-o-ziyan ka hath hai kya
ya aur hi koi baat hai kya
is sari izafi baaton mein
bas ek hi baat zaruri hai
yan shab ki sahar se duri hai
is shab ke tasalsul mein pinhan
ek ghor andhera jahl ka hai
jis jahl ki kali aandhi ne
jiwan ke sach ko chaT liya
aur hum ne isi virani mein
ek andha jiwan kaT liya
is kale andhe jiwan mein
ghurbat ki tira-baKHti ne
kuchh qismat ke ehsan ne bhi
kuchh jabr-e-waqt ki saKHti ne
insan se kya kuchh chhina hai
ye jina kaisa jina hai
pasmandgi-e-jaan ruh talak
dar aai siyahi oDhe hue
hum maqtal-e-shab mein aa baiThe
inkar ka daman chhoDe hue
inkar ki jis ki jumbish-e-lab
har shab ki sahar ban sakti hai
ye jurat-o-na-farmani-e-shab
bebas ki sipar ban sakti hai
phir kyon is qatl-gah-e-shab mein
aa baiThe hain ji haar ke hum
iqrar se lab aasuda sahi
munkir to nahin inkar ke hum
is shab-dar-shab tariki mein
jo raat bhi hai wo raat nahin
is haarne wali bazi mein
jo mat bhi hai wo mat nahin
kuchh qismat ki saffaki nahin
kuchh sud-o-ziyan ka hath nahin
bas ek hi dukh be-payan hai
hum KHud bhi apne sath nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.