hum ki hero nahin
ham ḳhizāñ kī ġhudūd se chal kar
ḳhud december kī kokh tak aa.e
ham ko fōtpath par hayāt milī
ham patañgoñ pe leT kar ro.e
sūrajoñ ne hamāre hoñToñ par
apne hoñToñ kā shahd Tapkāyā
aur hamārī shikam tasallī ko
june kī chhātiyoñ meñ duudh aayā
barf bistar banī hamāre liye
aur dozaḳh ke surḳh resham se
ham ne apne liye lihāf bune
zard shiryān ko dhueñ se bharā
phephaḌoñ par siyāh raakh malī
nāgā-sākī meñ phuul kāsht kiye
nazm bairūt meñ mukammal kī
lorkā ko kalā.ī par bāñdhā
ho-chi-minh ko niyām meñ rakhā
sāḌhe lenin baje schōl ga.e
sub.h-e-īsā ko shaam meñ rakkhā
armuġhān-e-hijāz meñ so.e
hollywōd kī azaan par jaage
Diary meñ sudhār thā likhā
dard ko falsafe kī lorī dī
zaḳhm par shā.irī kā phāhā rakkhā
tan mashīnoñ kī thaap par thirke
dil kitāboñ kī taal par nāchā
ham ne fir.aun kā qasīda likhā
ham ne kuufe meñ marsiye beche
ham ne bosoñ kā kārobār kiyā
ham ne āñkhoñ ke aa.ine beche
zindagī kī lagan nahīñ ham ko
zindagī kī hameñ thakan bhī nahīñ
ham ki hero nahīñ vilen bhī nahīñ
hum KHizan ki ghudud se chal kar
KHud december ki kokh tak aae
hum ko footpath par hayat mili
hum patangon pe leT kar roe
surajon ne hamare honTon par
apne honTon ka shahd Tapkaya
aur hamari shikam tasalli ko
june ki chhatiyon mein dudh aaya
barf bistar bani hamare liye
aur dozaKH ke surKH resham se
hum ne apne liye lihaf bune
zard shiryan ko dhuen se bhara
phephaDon par siyah rakh mali
naga-saki mein phul kasht kiye
nazm bairut mein mukammal ki
lorka ko kalai par bandha
ho-chi-minh ko niyam mein rakha
saDhe lenin baje school gae
subh-e-isa ko sham mein rakkha
armughan-e-hijaz mein soe
hollywood ki azan par jage
Diary mein sudhaar tha likha
dard ko falsafe ki lori di
zaKHm par shairi ka phaha rakkha
tan mashinon ki thap par thirke
dil kitabon ki tal par nacha
hum ne firaun ka qasida likha
hum ne kufe mein marsiye beche
hum ne boson ka karobar kiya
hum ne aankhon ke aaine beche
zindagi ki lagan nahin hum ko
zindagi ki hamein thakan bhi nahin
hum ki hero nahin wilen bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.