hum ki ek bhes liye phirte hain
kaun se des kī bābat pūchhe
vaqt ke dasht meñ phirtī
ye ḳhunuk sard havā
kin zamānoñ kī ye madfūn mahak
bad-numā shahr kī galiyoñ meñ uḌī phirtī hai
aur ye duur talak phailī huī
niiñd aur ḳhvāb se bojhal bojhal
e.atibār aur yaqīñ kī manzil
jis kī tā.īd meñ har shai hai
baqā hai lekin
apne manzar ke añdheroñ se pare
ham ḳhunuk sard havā sun bhī sakeñ
ham ki kis des kī pahchān meñ haiñ
ham ki kis lams kī tā.īd meñ haiñ
ham ki kis zo.am kī taufīq meñ haiñ
ham ki ik zabt-e-musalsal haiñ
zamānoñ ke abad se larzāñ
vahm ke ghar ke makīñ
apne hī des meñ pardes liye phirte haiñ
ham ki ik bhes liye phirte haiñ
kaun se des ki babat puchhe
waqt ke dasht mein phirti
ye KHunuk sard hawa
kin zamanon ki ye madfun mahak
bad-numa shahr ki galiyon mein uDi phirti hai
aur ye dur talak phaili hui
nind aur KHwab se bojhal bojhal
eatibar aur yaqin ki manzil
jis ki taid mein har shai hai
baqa hai lekin
apne manzar ke andheron se pare
hum KHunuk sard hawa sun bhi saken
hum ki kis des ki pahchan mein hain
hum ki kis lams ki taid mein hain
hum ki kis zoam ki taufiq mein hain
hum ki ek zabt-e-musalsal hain
zamanon ke abad se larzan
wahm ke ghar ke makin
apne hi des mein pardes liye phirte hain
hum ki ek bhes liye phirte hain
- Book : Aakhrii Din Se pehle (Pg. 51)
- Author : Abrar Ahmed
- Publication : Tahir Aslam Gora, Gora Publishers (1997)
- Edition : 1997
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.