hum ko dekhe jo aankh wala ho
ham sadā Dafliyāñ bajāte haiñ
saarī duniyā ko varġhalāte haiñ
aur sab ko chuġhad banāte haiñ
ġhaib kī baat ham batāte haiñ
munfarid aur be-badal haiñ ham
haañ miyāñ intellectual haiñ ham
Taañg girne se TuuT jaa.e to
aañkh mirchoñ se phuuT jaa.e to
aql kā saath chhūT jaa.e to
sar pe dasan kā boot jaa.e to
ham atārid vahīñ aur zohal haiñ ham
haañ miyāñ intellectual haiñ ham
apnī bhoñDī ḳhirad ko bahlā.eñ
ḳhuub sābun se us ko nahlā.eñ
pyaar se us kī piiTh sahlā.eñ
aur sāhil pe us ko Tahlā.eñ
sar-ba-sar aql kā ḳhalal haiñ ham
haañ miyāñ intellectual haiñ ham
ham ki bas ek vaqt khāte haiñ
shaal kashmīr se mañgāte haiñ
shave ḳhud haath se banāte haiñ
chaa.e maiñ kuchh nahīñ milāte haiñ
be-muhābā haiñ bar-mahal haiñ ham
haañ miyāñ intellectual haiñ ham
dosto muñh hamārā kaalā ho
gar kabhī sar meñ tel Daalā ho
yā kahīñ chaal ko sambhālā ho
ham ko dekhe jo aañkh vaalā ho
ba-īñ-andāz bā-amal haiñ ham
haañ miyāñ itellectual haiñ ham
ham ki sūkhe hue shajar kī tarah
ek uljhī huī nazar kī tarah
saḳht sūkhī huī maTar kī tarah
kisī ma.ashūq kī kamar kī tarah
jis meñ paanī nahīñ vo nal haiñ ham
haañ miyāñ intellectual haiñ ham
ham haiñ expert chālbāzī meñ
doctor jazba-e-majāzī meñ
dastaras ham ko dil-navāzī meñ
aur m.a haiñ ja.alsāzī meñ
māddī ilm kā jabal haiñ ham
haañ miyāñ intellectual haiñ ham
kaam karte nahīñ akaḌte haiñ
baat be-bāt ham jhagaḌte haiñ
haath muñh dho ke pīchhe paḌte haiñ
rāste hī meñ dhar pakaḌte haiñ
do-piyāza haiñ bīrbal haiñ ham
haañ miyāñ intellectual haiñ ham
hum sada Dafliyan bajate hain
sari duniya ko warghalate hain
aur sab ko chughad banate hain
ghaib ki baat hum batate hain
munfarid aur be-badal hain hum
han miyan intellectual hain hum
Tang girne se TuT jae to
aankh mirchon se phuT jae to
aql ka sath chhuT jae to
sar pe dasan ka boot jae to
hum atarid wahin aur zohal hain hum
han miyan intellectual hain hum
apni bhonDi KHirad ko bahlaen
KHub sabun se us ko nahlaen
pyar se us ki piTh sahlaen
aur sahil pe us ko Tahlaen
sar-ba-sar aql ka KHalal hain hum
han miyan intellectual hain hum
hum ki bas ek waqt khate hain
shaal kashmir se mangate hain
shawe KHud hath se banate hain
chae main kuchh nahin milate hain
be-muhaba hain bar-mahal hain hum
han miyan intellectual hain hum
dosto munh hamara kala ho
gar kabhi sar mein tel Dala ho
ya kahin chaal ko sambhaala ho
hum ko dekhe jo aankh wala ho
ba-in-andaz ba-amal hain hum
han miyan itellectual hain hum
hum ki sukhe hue shajar ki tarah
ek uljhi hui nazar ki tarah
saKHt sukhi hui maTar ki tarah
kisi mashuq ki kamar ki tarah
jis mein pani nahin wo nal hain hum
han miyan intellectual hain hum
hum hain expert chaalbazi mein
doctor jazba-e-majazi mein
dastaras hum ko dil-nawazi mein
aur ma hain jalsazi mein
maddi ilm ka jabal hain hum
han miyan intellectual hain hum
kaam karte nahin akaDte hain
baat be-baat hum jhagaDte hain
hath munh dho ke pichhe paDte hain
raste hi mein dhar pakaDte hain
do-piyaza hain birbal hain hum
han miyan intellectual hain hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.