hum log
dil ke aivāñ meñ liye gul-shuda sham.oñ kī qatār
nūr-e-ḳhurshīd se sahme hue uktā.e hue
husn-e-mahbūb ke sayyāl tasavvur kī tarah
apnī tārīkī ko bheñche hue lipTā.e hue
ġhāyat-e-sūd-o-ziyāñ sūrat-e-āġhāz-o-ma.āl
vahī be-sūd-e-tajassus vahī bekār savāl
muzmahil sā.at-e-imroz kī be-rañgī se
yād-e-māzī se ġhamīñ dahshat-e-fardā se niDhāl
tishna afkār jo taskīn nahīñ paate haiñ
soḳhta ashk jo āñkhoñ meñ nahīñ aate haiñ
ik kaḌā dard ki jo giit meñ Dhaltā hī nahīñ
dil ke tārīk shagāfoñ se nikaltā hī nahīñ
aur uljhī huī mauhūm sī darbāñ kī talāsh
dasht o zindāñ kī havas chāk-e-girebāñ kī talāsh
dil ke aiwan mein liye gul-shuda shamon ki qatar
nur-e-KHurshid se sahme hue uktae hue
husn-e-mahbub ke sayyal tasawwur ki tarah
apni tariki ko bhenche hue lipTae hue
ghayat-e-sud-o-ziyan surat-e-aghaz-o-maal
wahi be-sud-e-tajassus wahi bekar sawal
muzmahil saat-e-imroz ki be-rangi se
yaad-e-mazi se ghamin dahshat-e-farda se niDhaal
tishna afkar jo taskin nahin pate hain
soKHta ashk jo aankhon mein nahin aate hain
ek kaDa dard ki jo git mein Dhalta hi nahin
dil ke tarik shagafon se nikalta hi nahin
aur uljhi hui mauhum si darban ki talash
dasht o zindan ki hawas chaak-e-gireban ki talash
- Book : Nuskha Hai Wafa (Pg. 92)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.