hum log
hayāt-e-nau kā fasāna sunā.eñge ham log
talāsh kar ke bahāroñ ko lā.eñge ham log
musāfirān-e-shab-e-zindagī kī rāhoñ meñ
charāġh fikr-o-nazar ke jalā.eñge ham log
hamāre chāk-e-garebāñ ko dekhne vaalo
vatan ko rashk-e-gulistāñ banā.eñge ham log
jahāñ ko amn-o-mohabbat kā vāsta de kar
mah-o-nujūm kī mahfil sajā.eñge ham log
zamīr-e-fitrat-e-insāniyat ko chauñkā kar
urūj-e-qismat-e-ādam dikhā.eñge ham log
vo giit jis se bahāroñ kī ruuh jaag uThe
rabāb-e-zīst ke tāroñ pe gā.eñge ham log
shukūk-o-vahm kī tārīkiyoñ se kyā lenā
yaqīn-e-sub.h kī rāhoñ pe jā.eñge ham log
ḳhayāl-o-fikr ke ḳhvāb-āfrīñ dhuñdalkoñ meñ
ziyā-e-husn-e-sahar-tāb lā.eñge ham log
tasavvurāt kī duniyā hasīñ sahī lekin
haqīqatoñ ko hasīñ-tar banā.eñge ham log
ḳhulūs-e-kār se miltī hai zindagī 'azmat'
ḳhulūs-e-kār ko rahbar banā.eñge ham log
hayat-e-nau ka fasana sunaenge hum log
talash kar ke bahaaron ko laenge hum log
musafiran-e-shab-e-zindagi ki rahon mein
charagh fikr-o-nazar ke jalaenge hum log
hamare chaak-e-gareban ko dekhne walo
watan ko rashk-e-gulistan banaenge hum log
jahan ko amn-o-mohabbat ka wasta de kar
mah-o-nujum ki mahfil sajaenge hum log
zamir-e-fitrat-e-insaniyat ko chaunka kar
uruj-e-qismat-e-adam dikhaenge hum log
wo git jis se bahaaron ki ruh jag uThe
rabab-e-zist ke taron pe gaenge hum log
shukuk-o-wahm ki tarikiyon se kya lena
yaqin-e-subh ki rahon pe jaenge hum log
KHayal-o-fikr ke KHwab-afrin dhundalkon mein
ziya-e-husn-e-sahar-tab laenge hum log
tasawwuraat ki duniya hasin sahi lekin
haqiqaton ko hasin-tar banaenge hum log
KHulus-e-kar se milti hai zindagi 'azmat'
KHulus-e-kar ko rahbar banaenge hum log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.