hum na sahi
ham na sahī tum na sahī
magar ab bhī koī laḌkā
kisī laḌkī ke ghar ke sāmne
chilchilātī dhuup meñ khaḌā hogā
kisī bahāne
tum na sahī maiñ na sahī
magar ab bhī koī laḌkī
ghar kī khiḌkī tak aane meñ
jhijaktī hogī
ki is pāgal laḌke kī
hausla-afzā.ī na ho jaa.e
maiñ na sahī tum na sahī
magar vo laḌkā ab bhī
miss kartā hogā
vo chilchilātī dhuup
aur vo laḌkī ab bhī
miss kartī hogī
vo bebāk hausla
hum na sahi tum na sahi
magar ab bhi koi laDka
kisi laDki ke ghar ke samne
chilchilati dhup mein khaDa hoga
kisi bahane
tum na sahi main na sahi
magar ab bhi koi laDki
ghar ki khiDki tak aane mein
jhijakti hogi
ki is pagal laDke ki
hausla-afzai na ho jae
main na sahi tum na sahi
magar wo laDka ab bhi
miss karta hoga
wo chilchilati dhup
aur wo laDki ab bhi
miss karti hogi
wo bebak hausla
- Book : Namak (Pg. 166)
- Author : Subodh Saaqi
- Publication : Arshia Publications (2016)
- Edition : 2016
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.