hum panchhi ban jaen
ban ke nanhe panchhī
ham bhī niil gagan meñ
uḌte uḌte jaa.eñ
gahre gahre sāgar
ūñche ūñche parbat
niilī niilī jhīleñ
sab nīche rah jaa.eñ
ban ke nanhe panchhī
bādaloñ meñ ham taireñ
aur dhanak par jhūleñ
chāñd pe mil kar dauḌeñ
tāroñ ko ham chhū leñ
kheleñ āñkh-micholī
kirnoñ meñ chhup jaa.eñ
haath kabhī na aa.eñ
nafrat kī ābādī
ḳhūñ-rezī kī vaadī
jhagḌe aur barbādī
sab pīchhe rah jaa.eñ
ban ke nanhe panchhī
bādaloñ se leñ motī
chāñd se chun leñ chāñdī
rang dhanak se bhar leñ
kahkashāoñ kī jholī
phir jo lauT ke aa.eñ
pyaar ke par phailā.e
nagrī nagrī jaa.eñ
taare motī Tāñkeñ
sukh kī chāñdī bāñTeñ
jag meñ rang bhar jaa.eñ
achchhe din aa jaa.eñ
ban ke nanhe panchhī
ham bhī niil gagan meñ
uḌte uḌte jaa.eñ
ban ke nanhe panchhi
hum bhi nil gagan mein
uDte uDte jaen
gahre gahre sagar
unche unche parbat
nili nili jhilen
sab niche rah jaen
ban ke nanhe panchhi
baadalon mein hum tairen
aur dhanak par jhulen
chand pe mil kar dauDen
taron ko hum chhu len
khelen aankh-micholi
kirnon mein chhup jaen
hath kabhi na aaen
nafrat ki aabaadi
KHun-rezi ki wadi
jhagDe aur barbaadi
sab pichhe rah jaen
ban ke nanhe panchhi
baadalon se len moti
chand se chun len chandi
rang dhanak se bhar len
kahkashaon ki jholi
phir jo lauT ke aaen
pyar ke par phailae
nagri nagri jaen
tare moti Tanken
sukh ki chandi banTen
jag mein rang bhar jaen
achchhe din aa jaen
ban ke nanhe panchhi
hum bhi nil gagan mein
uDte uDte jaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.