hum phul nahin toD sakte
mahl se bāhar
bārish ho rahī hai
aur bādshāh kī bahan
naukaroñ ke saath
black-quēn khel rahī hai
bādshāh ke bachche qaumī tarāna yaad kar rahe haiñ
malka piano ke paas baiThī
kapḌe kī guḌiyā banā rahī hai
bādshāh apnī barsātī DhūñD rahā hai
chhatrī vazīr-e-āzam ke paas hai
chaar ghoḌoñ vaalī bagghī ke baġhair
bādshāh kanīz ko phuul pesh karnā chāhtā hai
kisī bhī hālat meñ
ham phuul nahīñ toḌ sakte
jañgī mashqoñ kī vaj.h se
baaġh marammat ke liye band hai
mahl se bahar
barish ho rahi hai
aur baadshah ki bahan
naukaron ke sath
black-queen khel rahi hai
baadshah ke bachche qaumi tarana yaad kar rahe hain
malka piano ke pas baiThi
kapDe ki guDiya bana rahi hai
baadshah apni barsati DhunD raha hai
chhatri wazir-e-azam ke pas hai
chaar ghoDon wali bagghi ke baghair
baadshah kaniz ko phul pesh karna chahta hai
kisi bhi haalat mein
hum phul nahin toD sakte
jangi mashqon ki wajh se
bagh marammat ke liye band hai
- Book : saarii nazmen (Pg. 532)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.