hum sab ke dukh sanjhe hain
jīrāñ
tū har-vaqt ye kachchī chhat kā kyā ronā rotī hai
barsāteñ jaaḌe paale
garm havā aur dhuup sulagtī
mausam kī har saḳhtī
tujh ko sahnā hī hai
pakkī chhat ko dekh ke ThanDī aah na bhar
mere jaisī ban jaane kī chaah na kar
jo kuchh tū dekhā kartī hai
sab āñkhoñ kā dhokā hai
dukh ke mausam tujh se ziyāda
mere dil ne jhele haiñ
ham donoñ ke dukh sāñjhe haiñ
tere paas to lā-ilmī kī daulat hai
mere paas to vo bhī nahīñ hai
ḳhālī haath aur ḳhālī dil
bholī aurat tū kyā jaane
maiñ bhī tere jaisī kachchī chhat ke nīche rahtī huuñ
jiran
tu har-waqt ye kachchi chhat ka kya rona roti hai
barsaten jaDe pale
garm hawa aur dhup sulagti
mausam ki har saKHti
tujh ko sahna hi hai
pakki chhat ko dekh ke ThanDi aah na bhar
mere jaisi ban jaane ki chah na kar
jo kuchh tu dekha karti hai
sab aankhon ka dhoka hai
dukh ke mausam tujh se ziyaada
mere dil ne jhele hain
hum donon ke dukh sanjhe hain
tere pas to la-ilmi ki daulat hai
mere pas to wo bhi nahin hai
KHali hath aur KHali dil
bholi aurat tu kya jaane
main bhi tere jaisi kachchi chhat ke niche rahti hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.