ham-safar
tū niile ākāsh kī raanī sundar terā bhes
baiTh ke uḌan-khaTole par tū ghūme des-bides
tere hoñToñ ke phūloñ se mahke ye sansār
tere mīThe bol ki jaise paa.el kī jhankār
terī zulfoñ kī ḳhushbū apnī bāheñ phailā.e
sāvan kī badlī kī sūrat nagrī nagrī jaa.e
terī chaal meñ mast-pavan kā albelā lahrāv
yā jaise padmā kī lahroñ par ik bahtī naav
terī chitvan ke chandā ne sab ko raah dikhā.ī
lekin tere pyaar kī manzil tere haath na aa.ī
jaane apne zaḳhmī dil meñ kitne dard chhupā.e
duuje kā dil bahlāne ko tū pal-pal muskā.e
tu nile aakash ki rani sundar tera bhes
baiTh ke uDan-khaTole par tu ghume des-bides
tere honTon ke phulon se mahke ye sansar
tere miThe bol ki jaise pael ki jhankar
teri zulfon ki KHushbu apni bahen phailae
sawan ki badli ki surat nagri nagri jae
teri chaal mein mast-pawan ka albela lahraw
ya jaise padma ki lahron par ek bahti naw
teri chitwan ke chanda ne sab ko rah dikhai
lekin tere pyar ki manzil tere hath na aai
jaane apne zaKHmi dil mein kitne dard chhupae
duje ka dil bahlane ko tu pal-pal muskae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.