ham-safari
Interesting Fact
(Paris, 14th July, 1984)
do sadiyāñ kaise baat kareñ
sakhiyāñ ban jaa.eñ
saath chaleñ
ākāsh se phailī dhartī tak
shīshe kī ik dīvār khiñchī
kyā ramz hai kaisā lahja hai
kyā ḳhabreñ haiñ kyā qissa hai
ab haath hilā.eñ muskā.eñ
sargoshī ho yā chillā.īñ
ab sar Takrā.eñ phūloñ kī sauġhāt liye
kyā baat bane
do sadiyāñ kaise baat kareñ
inkār sarāsar nā-mumkin
iqrār mukammal be-ma.anī
ab sāt-samundar shīshe kī dīvār se lag kar
jhāñk rahā hai
ghuur rahā hai
jhuñjhlāhaT kā ghaTtā baḌhtā pāgal-pan
do sadiyan kaise baat karen
sakhiyan ban jaen
sath chalen
aakash se phaili dharti tak
shishe ki ek diwar khinchi
kya ramz hai kaisa lahja hai
kya KHabren hain kya qissa hai
ab hath hilaen muskaen
sargoshi ho ya chillain
ab sar Takraen phulon ki saughat liye
kya baat bane
do sadiyan kaise baat karen
inkar sarasar na-mumkin
iqrar mukammal be-mani
ab sat-samundar shishe ki diwar se lag kar
jhank raha hai
ghur raha hai
jhunjhlahaT ka ghaTta baDhta pagal-pan
- Book : Naqsh Ber Aab (Pg. 41)
- Author : Abrarul Hasan
- Publication : Scheherzade
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.