ham-suKHani
jaane pahchāne derīna
vāqif-kār shanāsā jab bhī
mil baiTheñ to
bilā tavaqquf bāt-chīt chaltī rahtī hai
lekin jab
chalte chalte ye baat kuchh thak sī jaa.e
yā'nī jab lambe dānista vaqfe aane lag jaa.eñ
to lafz zarā be-mā'nī lagne lag jaate haiñ
ai mere derīna vāqif dost shanāsā
ham bhī
mil kar ġhaur kareñ
gap-shap meñ apnī
ḳhāmoshī ke bā-mā'nī
apne dānista vaqfoñ par
jaane pahchane derina
waqif-kar shanasa jab bhi
mil baiThen to
bila tawaqquf baat-chit chalti rahti hai
lekin jab
chalte chalte ye baat kuchh thak si jae
ya'ni jab lambe danista waqfe aane lag jaen
to lafz zara be-ma'ni lagne lag jate hain
ai mere derina waqif dost shanasa
hum bhi
mil kar ghaur karen
gap-shap mein apni
KHamoshi ke ba-ma'ni
apne danista waqfon par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.