hum suraj chand sitare
ham sūraj chāñd sitāre
haiñ ye din raat hamāre
sūraj ne kahā hai ham se
ham sab ko bachā.eñ ġham se
duniyā meñ hamāre dam se
baheñ raushniyoñ ke dhāre
koī chāñd kahe koī chandā
ye dil hai pyaar kā banda
hai pyaar hī apnā dhandā
hameñ sab lagte haiñ pyāre
kareñ ham jo paḌhā.ī jam ke
yuuñ naam hamārā chamke
jis tarah sitārā damke
yahī jaatā vaqt pukāre
hum suraj chand sitare
hain ye din raat hamare
suraj ne kaha hai hum se
hum sab ko bachaen gham se
duniya mein hamare dam se
bahen raushniyon ke dhaare
koi chand kahe koi chanda
ye dil hai pyar ka banda
hai pyar hi apna dhanda
hamein sab lagte hain pyare
karen hum jo paDhai jam ke
yun nam hamara chamke
jis tarah sitara damke
yahi jata waqt pukare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.