hum to bas
ham to bas peshī bhugtāne aa.e haiñ
ham ne kyā lenā denā hai
raqs-e-sabā se
tum se
us mele se
jis mele meñ
dastāvez par dast-ḳhatoñ kī pahlī fasl bichhī thī
aur zamāna
do farsañg kī nā-hamvār masāfat par hairān khaḌā thā
ham ne kiyā lenā denā hai
chāñd se
chāñd kī buḌhiyā
aur us ke charḳhe se
us aañsū se
jo Tapkā to hijr hamārī umroñ ke halqe meñ
avval avval naqsh huā
na hastī par ziina ziina mailī āñkhoñ kī sairābī
na duniyā kī bhiiḌ meñ sāñseñ letā
va.ada yaad dilāne aa.e haiñ
ham to bas peshī bhugtāne aa.e haiñ
hum to bas peshi bhugtane aae hain
hum ne kya lena dena hai
raqs-e-saba se
tum se
us mele se
jis mele mein
dastawez par dast-KHaton ki pahli fasl bichhi thi
aur zamana
do farsang ki na-hamwar masafat par hairan khaDa tha
hum ne kiya lena dena hai
chand se
chand ki buDhiya
aur us ke charKHe se
us aansu se
jo Tapka to hijr hamari umron ke halqe mein
awwal awwal naqsh hua
na hasti par zina zina maili aankhon ki sairabi
na duniya ki bhiD mein sansen leta
wada yaad dilane aae hain
hum to bas peshi bhugtane aae hain
- Book : Quarterly Tasteer Lahore (Pg. 124)
- Author : Naseer Ahmed Nasir
- Publication : Roon No.1 1st Floor, Awan Palaza, Shadman Market (Vo.1 Issue2 Oct to Dec1997)
- Edition : Vo.1 Issue2 Oct to Dec1997
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.