hum to majbur-e-wafa hain
tujh ko kitnoñ kā lahū chāhiye ai arz-e-vatan
jo tire āriz-e-be-rañg ko gulnār kareñ
kitnī aahoñ se kaleja tirā ThanDā hogā
kitne aañsū tire sahrāoñ ko gulzār kareñ
tere aivānoñ meñ purze hue paimāñ kitne
kitne va.ade jo na āsūda-e-iqrār hue
kitnī āñkhoñ ko nazar khā ga.ī bad-ḳhvāhoñ kī
ḳhvāb kitne tirī shah-rāhoñ meñ sañgsār hue
''balā-kashān-e-mohabbat pe jo huā so huā
jo mujh pe guzrī mat us se kaho, huā so huā
mabādā ho koī zālim tirā garebāñ-gīr
lahū ke daaġh tū dāman se dho, huā so huā''
ham to majbūr-e-vafā haiñ magar ai jān-e-jahāñ
apne ushshāq se aise bhī koī kartā hai
terī mahfil ko ḳhudā rakkhe abad tak qaa.em
ham to mehmāñ haiñ ghaḌī bhar ke hamārā kyā hai
tujh ko kitnon ka lahu chahiye ai arz-e-watan
jo tere aariz-e-be-rang ko gulnar karen
kitni aahon se kaleja tera ThanDa hoga
kitne aansu tere sahraon ko gulzar karen
tere aiwanon mein purze hue paiman kitne
kitne wade jo na aasuda-e-iqrar hue
kitni aankhon ko nazar kha gai bad-KHwahon ki
KHwab kitne teri shah-rahon mein sangsar hue
bala-kashan-e-mohabbat pe jo hua so hua
jo mujh pe guzri mat us se kaho, hua so hua
mabaada ho koi zalim tera gareban-gir
lahu ke dagh tu daman se dho, hua so hua
hum to majbur-e-wafa hain magar ai jaan-e-jahan
apne ushshaq se aise bhi koi karta hai
teri mahfil ko KHuda rakkhe abad tak qaem
hum to mehman hain ghaDi bhar ke hamara kya hai
- Book : Nuskha Hai Wafa (Kulliyat-e-Faiz) (Pg. 644)
- Publication : Educational Publishing House (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.