hum to majbur the is dil se
ham to majbūr the is dil se ki jis meñ har dam
gardish-e-ḳhūñ se vo kohrām bapā rahtā hai
jaise rindadan-e-balā-nosh jo mil baiTheñ baham
mai-kade meñ safar-e-jām bapā rahtā hai
soz-e-ḳhātir ko milā jab bhī sahārā koī
dāġh-e-hirmān koii, dard-e-tamannā koī
marham-e-yās se mā.il-ba-shifā hone lagā
zaḳhm-e-ummīd koī phir se harā hone lagā
ham to majbūr the is dil se ki jis kī zid par
ham ne us raat ke māthe pe sahar kī tahrīr
jis ke dāman meñ añdhere ke sivā kuchh bhī na thā
ham ne is dasht ko Thahrā liyā firdaus-e-nazīr
jis meñ juz san.at-e-ḳhūn-e-sar-e-pā kuchh bhī na thā
dil ko ta.abīr koī aur gavārā hī na thī
kulfat-e-zīst to manzūr thī har taur magar
rāhat-e-marg kisī taur gavārā hī na thī
hum to majbur the is dil se ki jis mein har dam
gardish-e-KHun se wo kohram bapa rahta hai
jaise rindadan-e-bala-nosh jo mil baiThen baham
mai-kade mein safar-e-jam bapa rahta hai
soz-e-KHatir ko mila jab bhi sahaara koi
dagh-e-hirman koi, dard-e-tamanna koi
marham-e-yas se mail-ba-shifa hone laga
zaKHm-e-ummid koi phir se hara hone laga
hum to majbur the is dil se ki jis ki zid par
hum ne us raat ke mathe pe sahar ki tahrir
jis ke daman mein andhere ke siwa kuchh bhi na tha
hum ne is dasht ko Thahra liya firdaus-e-nazir
jis mein juz sanat-e-KHun-e-sar-e-pa kuchh bhi na tha
dil ko tabir koi aur gawara hi na thi
kulfat-e-zist to manzur thi har taur magar
rahat-e-marg kisi taur gawara hi na thi
- Book : Nuskha Hai Wafa (Kulliyat-e-Faiz) (Pg. 535)
- Publication : Educational Publishing House (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.