jo chaltā hai to qadmoñ kī koī aahaT nahīñ hotī
talāsh-e-farq-e-nek-o-bad kī ḳhvāhish ko liye dil meñ
guzartā hai ġhubār-zīst kī gum-nām galiyoñ se
dhuñdlakā sā koī hai yā koī be-ḳhvāb sī shab hai
koī be-nūr rasta hai ki jis meñ kho gayā huuñ maiñ
koī āvāz hai jo ik darīda pairahan pahne
hujūm-e-be-sar-o-pā meñ ka.ī sadiyoñ se rahtī hai
guzartī hai to har jānib sukūt-e-marg bahtā hai
khañDar meñ saañs letā hai
koī be-ḳhānumāñ saaya mujhe āvāz detā hai
jo chalta hai to qadmon ki koi aahaT nahin hoti
talash-e-farq-e-nek-o-bad ki KHwahish ko liye dil mein
guzarta hai ghubar-zist ki gum-nam galiyon se
dhundlaka sa koi hai ya koi be-KHwab si shab hai
koi be-nur rasta hai ki jis mein kho gaya hun main
koi aawaz hai jo ek darida pairahan pahne
hujum-e-be-sar-o-pa mein kai sadiyon se rahti hai
guzarti hai to har jaanib sukut-e-marg bahta hai
khanDar mein sans leta hai
koi be-KHanuman saya mujhe aawaz deta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.