ham-zad
shaiḳh-zaman-shādānī
aao
ḳhvāb dekhte haiñ
yaad nagar meñ saa.e phirte haiñ
tanhā.ī siskārī bhartī hai
apnī duniyā tārīkī meñ Duub chalī
bāhar chal kar mahtāb dekhte haiñ
shaiḳh-zaman-shādānī
aao
ḳhvāb dekhte haiñ
ham se pahle kaun kaun se log hue
jo sāhil par khaḌe rahe
jin kī nazreñ paanī se Takrā Takrā kar
TuuT TuuT kar bikhar ga.ī haiñ
bikhar ga.ī haiñ aur paanī kā sabza haiñ
is sabze ke pīchhe kyā hai
aaj aqab meñ
chhupe hue gardāb dekhte haiñ
shaiḳh zaman shādānī
aao
ḳhvāb dekhte haiñ
shaiKH-zaman-shadani
aao
KHwab dekhte hain
yaad nagar mein sae phirte hain
tanhai siskari bharti hai
apni duniya tariki mein Dub chali
bahar chal kar mahtab dekhte hain
shaiKH-zaman-shadani
aao
KHwab dekhte hain
hum se pahle kaun kaun se log hue
jo sahil par khaDe rahe
jin ki nazren pani se Takra Takra kar
TuT TuT kar bikhar gai hain
bikhar gai hain aur pani ka sabza hain
is sabze ke pichhe kya hai
aaj aqab mein
chhupe hue gardab dekhte hain
shaiKH zaman shadani
aao
KHwab dekhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.