ham-zad
vo ik shaḳhs jis kī shabāhat se mujh ko
bahut ḳhvār o sharminda honā paḌā thā
qabā ruuh kī malgajī ho ga.ī thī
ka.ī baar dāman ko dhonā paḌā thā
vo mujh jaisī āñkheñ jabīñ hoñT abrū
ki baaqī na thā kuchh bhī farq-e-man-o-tū
vahī chaal āvāz qad rañg maddham
vahī tarz-e-guftār Thahrāo kam kam
ḳhudā jaane kyā kyā mashāġhil the us ke
mire paas log aa.e aa aa ke lauTe
ka.ī mujh se uljhe ka.ī mujh se jhagḌe
maiñ rotā rahā be-gunāhī kā ronā
mire jurm par log the qahqaha-zan
na kaam aayā apnī tabāhī kā ronā
vo zulmat meñ chhup chhup ke din kāTtā thā
maiñ din ke ujāle meñ maarā gayā thā
sunā raat vo mar gayā kyā ġhazab hai
use dafn kar aa.e logoñ ko dekho
maiñ kam-baḳht nazroñ se ojhal hī kab thā
ye kyā kar diyā haa.e logoñ ko dekho
wo ek shaKHs jis ki shabahat se mujh ko
bahut KHwar o sharminda hona paDa tha
qaba ruh ki malgaji ho gai thi
kai bar daman ko dhona paDa tha
wo mujh jaisi aankhen jabin honT abru
ki baqi na tha kuchh bhi farq-e-man-o-tu
wahi chaal aawaz qad rang maddham
wahi tarz-e-guftar Thahrao kam kam
KHuda jaane kya kya mashaghil the us ke
mere pas log aae aa aa ke lauTe
kai mujh se uljhe kai mujh se jhagDe
main rota raha be-gunahi ka rona
mere jurm par log the qahqaha-zan
na kaam aaya apni tabahi ka rona
wo zulmat mein chhup chhup ke din kaTta tha
main din ke ujale mein mara gaya tha
suna raat wo mar gaya kya ghazab hai
use dafn kar aae logon ko dekho
main kam-baKHt nazron se ojhal hi kab tha
ye kya kar diya hae logon ko dekho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.