hum zat se hum kalami aur firaq
sachche ḳhvāb aur jhūTī āñkheñ
andhe rastoñ kī hamrāhī
anjān tahayyur kā paanī
aur istifhāmī lahjoñ kī
do-dhārī talvāreñ
terī qurb-sarā.e se
ye zād-e-safar saath liyā hai
ruḳhsat ke ruḳhsāroñ par
aañsū ban kar girte
lamhe ke hāthoñ meñ
apne hone kā ā.īna de
maiñ us kāñch badan se
be-nām andeshoñ kā
zañgār khurach Dālūñ
aur ujle paanī meñ dekh sakūñ
Hijr-nagar ke tapte sūraj ke nīche
umr safar kā sahrā kitne kos paḌā hai
sachche KHwab aur jhuTi aankhen
andhe raston ki hamrahi
anjaan tahayyur ka pani
aur istifhami lahjon ki
do-dhaari talwaren
teri qurb-sarae se
ye zad-e-safar sath liya hai
ruKHsat ke ruKHsaron par
aansu ban kar girte
lamhe ke hathon mein
apne hone ka aaina de
main us kanch badan se
be-nam andeshon ka
zangar khurach Dalun
aur ujle pani mein dekh sakun
Hijr-nagar ke tapte suraj ke niche
umr safar ka sahra kitne kos paDa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.