hamara Dar khule
jahān-e-ārzū meñ
be-yaqīnī ke sabhī mausam
hamāre rāstoñ ko dhuul karte haiñ
koī ik āyat-e-radd-e-balā
jo ḳhauf se bhiñche hue jabḌoñ
tane a.asāb ko āsūdgī baḳhshe
koī to ism-e-āzam ho
ki shahr-e-zāt kā ye dar khule
hamārā Dar khule
jahan-e-arzu mein
be-yaqini ke sabhi mausam
hamare raston ko dhul karte hain
koi ek aayat-e-radd-e-bala
jo KHauf se bhinche hue jabDon
tane aasab ko aasudgi baKHshe
koi to ism-e-azam ho
ki shahr-e-zat ka ye dar khule
hamara Dar khule
- Book : Quarterly TASTEER Lahore (Pg. 367)
- Author : Naseer Ahmed Nasir
- Publication : H.No.-21, Street No. 2, Phase II, Bahriya Town, Rawalpindi (Volume:15, Issue No. 1, 2, Jan To June.2011)
- Edition : Volume:15, Issue No. 1, 2, Jan To June.2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.