kisī ne chehra hamārā kabhī paḌhā hī nahīñ
kisī ne naam hamārā kabhī liyā hī nahīñ
tumhārī bazm meñ ham bhī sharīk rahte haiñ
hamārā haal kisī ne kabhī sunā hī nahīñ
buland-o-bāñg yā da.ave ye dostī ke usuul
amal ke naam se ḳhālī raheñ to saare fuzūl
kabhī to pās-e-adab ho vafā-shi.ārī kā
dil-o-nazar meñ ho jazba ḳhulūs-kārī kā
agar ye baat nahīñ hai to roz kā milnā
zamāne-bhar ke masā.il pe guftugū karnā
bas apne-āp ko ik bā-ḳhabar samajh lenā
dikhāvā jhuuT tasanño fareb-kārī hai
hamāre dil pe usī ġham kā bojh bhārī hai
kisi ne chehra hamara kabhi paDha hi nahin
kisi ne nam hamara kabhi liya hi nahin
tumhaari bazm mein hum bhi sharik rahte hain
hamara haal kisi ne kabhi suna hi nahin
buland-o-bang ya dawe ye dosti ke usul
amal ke nam se KHali rahen to sare fuzul
kabhi to pas-e-adab ho wafa-shiari ka
dil-o-nazar mein ho jazba KHulus-kari ka
agar ye baat nahin hai to roz ka milna
zamane-bhar ke masail pe guftugu karna
bas apne-ap ko ek ba-KHabar samajh lena
dikhawa jhuT tasanno fareb-kari hai
hamare dil pe usi gham ka bojh bhaari hai
- Book : Shahar Ki Faseelon Se (Pg. 87)
- Author : Noor Muneeri
- Publication : Khan Publications (2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.