hamara ghar
pyaar vafā ke diip jalā.eñ
ghar ko apne svarg banā.eñ
kheleñ kūdeñ aur muskā.eñ
dekh ke ḳhush hoñ jis ko maa.eñ
pahlā maktab ghar hai hamārā
dars usī se ham sab paa.eñ
jis se mileñ phal ilm ke ham ko
is meñ aise paude lagā.eñ
pahle maañ aur baap se sīkheñ
phir sab ko ādāb sikhā.eñ
jo bhī hamāre ghar meñ aa.e
pyaar se us ko dil meñ biThā.eñ
baat kareñ ham mīThī mīThī
lafzoñ ke ham phuul khilā.eñ
apne hoñ yā begāne hoñ
sab ko apnā dost banā.eñ
ḳhush hoñge māñ-bāp hamāre
aao ham aise ban jaa.eñ
aur phir is ke aage chal kar
desh-pujārī ham kahlā.eñ
naam ho raushan jis se ghar kā
aise sundar diip jalā.eñ
pyar wafa ke dip jalaen
ghar ko apne swarg banaen
khelen kuden aur muskaen
dekh ke KHush hon jis ko maen
pahla maktab ghar hai hamara
dars usi se hum sab paen
jis se milen phal ilm ke hum ko
is mein aise paude lagaen
pahle man aur bap se sikhen
phir sab ko aadab sikhaen
jo bhi hamare ghar mein aae
pyar se us ko dil mein biThaen
baat karen hum miThi miThi
lafzon ke hum phul khilaen
apne hon ya begane hon
sab ko apna dost banaen
KHush honge man-bap hamare
aao hum aise ban jaen
aur phir is ke aage chal kar
desh-pujari hum kahlaen
nam ho raushan jis se ghar ka
aise sundar dip jalaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.