hamara watan dil se pyara watan
ye hindostāñ hai hamārā vatan
mohabbat kī āñkhoñ kā taarā vatan
hamārā vatan dil se pyārā vatan
vo is ke daraḳhtoñ ke tayyāriyāñ
vo phal phuul paude vo phul-vāriyāñ
hamārā vatan dil se pyārā vatan
havā meñ daraḳhtoñ kā vo jhūmnā
vo pattoñ kā phūloñ kā muñh chūmnā
hamārā vatan dil se pyārā vatan
vo sāvan meñ kaalī ghaTā kī bahār
vo barsāt kī halkī halkī phuvār
hamārā vatan dil se pyārā vatan
vo bāġhoñ meñ koyal vo jañgal ke mor
vo gañgā kī lahreñ vo jamunā kā zor
hamārā vatan dil se pyārā vatan
isī se hai is zindagī kī bahār
vatan kī mohabbat ho yā maañ kā pyaar
hamārā vatan dil se pyārā vatan
ye hindostan hai hamara watan
mohabbat ki aankhon ka tara watan
hamara watan dil se pyara watan
wo is ke daraKHton ke tayyariyan
wo phal phul paude wo phul-wariyan
hamara watan dil se pyara watan
hawa mein daraKHton ka wo jhumna
wo patton ka phulon ka munh chumna
hamara watan dil se pyara watan
wo sawan mein kali ghaTa ki bahaar
wo barsat ki halki halki phuwar
hamara watan dil se pyara watan
wo baghon mein koyal wo jangal ke mor
wo ganga ki lahren wo jamuna ka zor
hamara watan dil se pyara watan
isi se hai is zindagi ki bahaar
watan ki mohabbat ho ya man ka pyar
hamara watan dil se pyara watan
- Book : Azadi Ki Nazmein (Pg. 42)
- Author : Sibte Hasan
- Publication : National Council For Promotion Of Urdu Language (1985,2007)
- Edition : 1985,2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.