phaloñ se lade jis ke ashjār haiñ
mahakte hue jis ke gulzār haiñ
nirālī hai jis ke guloñ kī phaban
hamārā vatan hai hamārā vatan
hamārā vatan sab se pyārā vatan
gulāb aur juuhī kī jis meñ bahār
saman hai jahāñ har chaman kā siñgār
khule haiñ jahāñ nargis-o-tastaran
hamārā vatan hai hamārā vatan
hamārā vatan sab se pyārā vatan
hai pūrab se pachchhim nirālā jahāñ
hai uttar kā dūlhā himāla jahāñ
kumārī jahāñ hai urūs-e-dakkan
hamārā vatan hai hamārā vatan
hamārā vatan sab se pyārā vatan
kahīñ gomtī byaas godāvarī
kahīñ ghāghrā narbadā tāptī
kahīñ jis meñ bahte haiñ gañg-o-jaman
hamārā vatan hai hamārā vatan
hamārā vatan sab se pyārā vatan
har ik phal har ik phuul har rut jahāñ
havāoñ meñ jis kī hai ambar nihāñ
fazā.eñ haiñ jis kī chaman dar chaman
hamārā vatan hai hamārā vatan
hamārā vatan sab se pyārā vatan
papīhā alāpe jahāñ pī kahāñ
sunā.eñ anādil tarāne jahāñ
hai aamoñ meñ koyal jahāñ naġhma-zan
hamārā vatan hai hamārā vatan
hamārā vatan sab se pyārā vatan
anaaj aur mevoñ kī kasrat jahāñ
hai paanī meñ bhī ik halāvat jahāñ
jo ham ko banātā hai shīrīñ-suḳhan
hamārā vatan hai hamārā vatan
hamārā vatan sab se pyārā vatan
kiyā jis kī miTTī ne paidā hameñ
na kyuuñ faḳhr se is kā ham naam leñ
kahīñ mil ke sab shaiḳh aur barahman
hamārā vatan hai hamārā vatan
hamārā vatan sab se pyārā vatan
phalon se lade jis ke ashjar hain
mahakte hue jis ke gulzar hain
nirali hai jis ke gulon ki phaban
hamara watan hai hamara watan
hamara watan sab se pyara watan
gulab aur juhi ki jis mein bahaar
saman hai jahan har chaman ka singar
khule hain jahan nargis-o-tastaran
hamara watan hai hamara watan
hamara watan sab se pyara watan
hai purab se pachchhim nirala jahan
hai uttar ka dulha himala jahan
kumari jahan hai urus-e-dakkan
hamara watan hai hamara watan
hamara watan sab se pyara watan
kahin gomti byas godawari
kahin ghaghra narbada tapti
kahin jis mein bahte hain gang-o-jaman
hamara watan hai hamara watan
hamara watan sab se pyara watan
har ek phal har ek phul har rut jahan
hawaon mein jis ki hai ambar nihan
fazaen hain jis ki chaman dar chaman
hamara watan hai hamara watan
hamara watan sab se pyara watan
papiha alape jahan pi kahan
sunaen anadil tarane jahan
hai aamon mein koyal jahan naghma-zan
hamara watan hai hamara watan
hamara watan sab se pyara watan
anaj aur mewon ki kasrat jahan
hai pani mein bhi ek halawat jahan
jo hum ko banata hai shirin-suKHan
hamara watan hai hamara watan
hamara watan sab se pyara watan
kiya jis ki miTTi ne paida hamein
na kyun faKHr se is ka hum nam len
kahin mil ke sab shaiKH aur barahman
hamara watan hai hamara watan
hamara watan sab se pyara watan
- Book : Kulliyat-e-Arsh (Pg. 260)
- Author : Arsh Malsiyani
- Publication : Ali Imran Chaudhary
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.