hamare baad
ye rāheñ ḳhud-baḳhud pūchheñgī tum se
kahāñ tum jāoge jab ham na hoñge
ishāre kaun samjhegā tumhāre
kise samjhāoge jab ham na hoñge
abhī ashkoñ meñ pinhāñ hai tabassum
ḳhushī kyā pāoge jab ham na hoñge
zamāna toḌ degā shīsha-e-dil
bahut ghabrāoge jab ham na hoñge
taġhāful kī sazā tum ko milegī
bahut pachhtāoge jab ham na hoñge
ye rahen KHud-baKHud puchhengi tum se
kahan tum jaoge jab hum na honge
ishaare kaun samjhega tumhaare
kise samjhaoge jab hum na honge
abhi ashkon mein pinhan hai tabassum
KHushi kya paoge jab hum na honge
zamana toD dega shisha-e-dil
bahut ghabraoge jab hum na honge
taghaful ki saza tum ko milegi
bahut pachhtaoge jab hum na honge
- Book : shahr-e-aarzu(rekhta website) (Pg. 159)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.