hamare dukhon ka ilaj kahan hai
agar hamāre dukhoñ kā ilaaj
niiñd hai
to koī ham se ziyāda gahrī niiñd nahīñ so saktā
aur na hī itnī āsānī aur ḳhūb-sūratī se
koī niiñd meñ chal saktā hai
agar hamāre dukhoñ kā ilaaj
jāgnā hai
to ham is qadar jaag sakte haiñ
ki har raat hamārī āñkhoñ meñ ārām kar saktī hai
aur har darvāza
hamāre dil meñ khul saktā hai
agar hamāre dukhoñ kā ilaaj
hañsnā hai
to ham itnā hañs sakte haiñ
ki parinde, daraḳhtoñ se uḌ jaa.eñ
aur pahāḌ hamārī hañsī kī guuñj se bhar jaa.eñ
ham itnā hañs sakte haiñ
ki koī masḳhara yā pāgal
is kā tasavvur tak nahīñ kar saktā
agar hamāre dukhoñ kā ilaaj
ronā hai
to hamāre paas itne aañsū haiñ
ki in meñ saarī duniyā ko Duboyā jā saktā hai
jahannam bujhā.e jā sakte haiñ
aur saarī zamīn ko paanī diyā jā saktā hai
agar hamāre dukhoñ kā ilaaj
jiinā hai
to ham se ziyāda bā-ma.anī zindagī
kaun guzār saktā hai
aur kaun aise salīqe aur aziyyat se
is duniyā ko dekh saktā hai
agar hamāre dukhoñ kā ilaaj
bolnā hai
to ham havā kī tarah guftugū kar sakte haiñ
aur apne lafzoñ kī ḳhushbū se
phuul khilā sakte haiñ
aur agar tum kahte ho:
hamāre dukhoñ kā ilaaj kahīñ nahīñ hai
to ham chup rah sakte haiñ
qabroñ se bhī ziyāda
agar hamare dukhon ka ilaj
nind hai
to koi hum se ziyaada gahri nind nahin so sakta
aur na hi itni aasani aur KHub-surati se
koi nind mein chal sakta hai
agar hamare dukhon ka ilaj
jagna hai
to hum is qadar jag sakte hain
ki har raat hamari aankhon mein aaram kar sakti hai
aur har darwaza
hamare dil mein khul sakta hai
agar hamare dukhon ka ilaj
hansna hai
to hum itna hans sakte hain
ki parinde, daraKHton se uD jaen
aur pahaD hamari hansi ki gunj se bhar jaen
hum itna hans sakte hain
ki koi masKHara ya pagal
is ka tasawwur tak nahin kar sakta
agar hamare dukhon ka ilaj
rona hai
to hamare pas itne aansu hain
ki in mein sari duniya ko Duboya ja sakta hai
jahannam bujhae ja sakte hain
aur sari zamin ko pani diya ja sakta hai
agar hamare dukhon ka ilaj
jina hai
to hum se ziyaada ba-mani zindagi
kaun guzar sakta hai
aur kaun aise saliqe aur aziyyat se
is duniya ko dekh sakta hai
agar hamare dukhon ka ilaj
bolna hai
to hum hawa ki tarah guftugu kar sakte hain
aur apne lafzon ki KHushbu se
phul khila sakte hain
aur agar tum kahte ho:
hamare dukhon ka ilaj kahin nahin hai
to hum chup rah sakte hain
qabron se bhi ziyaada
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.