hamare kamre mein pattiyon ki mahak ne
cigarette ke raqs karte dhueñ se mil kar,
ajiib māhaul kar diyā hai
aur is pe ab ye ghaḌī kī Tik-Tik ne,
dil udāsī se bhar diyā hai
kisī zamāne meñ ham ne,
'nāsir', 'farāz', 'mohsin', 'jamāl', 'sarvat' ke sher apnī chahaktī dīvār par likhe the
ab is meñ sīlan kyuuñ aa ga.ī hai....?
hamārā bistar ki jis meñ koī shikan nahīñ hai, usī pe kab se,
(vo daa.eñ jānib, maiñ baa.eñ jānib....)
na jaane kab se darāz haiñ ham....!!!
maiñ us se shāyad ḳhafā nahīñ huuñ,
use bhī koī gila nahīñ hai
magar hamārī ḳhamīda pushteñ jo pichhlī kitnī hī sā.atoñ se
bas ek duuje ko tak rahī haiñ....
vo thak ga.ī hai
cigarette ke raqs karte dhuen se mil kar,
ajib mahaul kar diya hai
aur is pe ab ye ghaDi ki Tik-Tik ne,
dil udasi se bhar diya hai
kisi zamane mein hum ne,
'nasir', 'faraaz', 'mohsin', 'jamal', 'sarwat' ke sher apni chahakti diwar par likhe the
ab is mein silan kyun aa gai hai?
hamara bistar ki jis mein koi shikan nahin hai, usi pe kab se,
(wo daen jaanib, main baen jaanib)
na jaane kab se daraaz hain ham!!!
main us se shayad KHafa nahin hun,
use bhi koi gila nahin hai
magar hamari KHamida pushten jo pichhli kitni hi saaton se
bas ek duje ko tak rahi hain
wo thak gai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.