hamare liye subh ke honT par bad-dua hai
bad-duā hai
hamāre liye sub.h ke hoñT par bad-duā hai
gharoñ meñ utartī azānoñ meñ
hukm-e-sazā hai
suno bad-duā hai
hamāre liye sub.h ke hoñT par bad-duā hai
suno ham ne shab bhar
use yaad rakkhā
añdhere kī dīvār ke sard siine se lag kar
use apne dil ke ufuq se sadā dī
kabhī apnī sāñsoñ ke dukh meñ pukārā
dilāsoñ kī dahlīz par
TuuTe ḳhvāboñ kī dhajjiyāñ
raat bhar jāgne kā sila hai
suno bad-duā hai
hamāre liye sub.h ke hoñT par bad-duā hai
suno shahr vaalo
kahāñ hai hamāre lahū kī bashārat
hamāre pur-asrār ḳhvāboñ kā mausam
jise ham ne bachchoñ kī palkoñ se sīñchā
jise maaoñ kī iltijāoñ se māñgā
hamārā muqaddar
havāoñ meñ uḌtā huā
maut kā zā.iqa hai
suno ba-duā hai
bad-dua hai
hamare liye subh ke honT par bad-dua hai
gharon mein utarti azanon mein
hukm-e-saza hai
suno bad-dua hai
hamare liye subh ke honT par bad-dua hai
suno hum ne shab bhar
use yaad rakkha
andhere ki diwar ke sard sine se lag kar
use apne dil ke ufuq se sada di
kabhi apni sanson ke dukh mein pukara
dilason ki dahliz par
TuTe KHwabon ki dhajjiyan
raat bhar jagne ka sila hai
suno bad-dua hai
hamare liye subh ke honT par bad-dua hai
suno shahr walo
kahan hai hamare lahu ki bashaarat
hamare pur-asrar KHwabon ka mausam
jise hum ne bachchon ki palkon se sincha
jise maon ki iltijaon se manga
hamara muqaddar
hawaon mein uDta hua
maut ka zaiqa hai
suno ba-dua hai
- Book : meyaar (Pg. 63)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.