hamare ma-bain
ek ḳhvāb se jab tum dūsre ḳhvāb meñ qadam rakho
to ye ḳhayāl rahe
ek zamīn tumhāre andar bhī apne liye zamīn banā chukī hai
jis par hazāroñ
nannhī nannhī duāoñ kī bāliyāñ phūTeñgī
tum un duāoñ kī zabān samajhnā
un lafzoñ ko sunñā
jinheñ tum ne
safar ke guzishta marhale meñ idhar udhar ghumā diyā thā
ye duniyā
mahz ek fāsle kā naam hai
aur
tumhāre paañv bahut chhoTe haiñ
zarā muḌ kar dekho
tum apne ḳhudā ko kahāñ chhoḌ aa.ī ho
tumhārī namāzoñ kā nuur kahāñ rah gayā hai
dekho
hamāre mā-bain
ek daldal hai
aur is daldal meñ
ek chāñd phañsā huā hai
jo tumhāre qadam naap rahā hai
ek KHwab se jab tum dusre KHwab mein qadam rakho
to ye KHayal rahe
ek zamin tumhaare andar bhi apne liye zamin bana chuki hai
jis par hazaron
nannhi nannhi duaon ki baaliyan phuTengi
tum un duaon ki zaban samajhna
un lafzon ko sunna
jinhen tum ne
safar ke guzishta marhale mein idhar udhar ghuma diya tha
ye duniya
mahz ek fasle ka nam hai
aur
tumhaare panw bahut chhoTe hain
zara muD kar dekho
tum apne KHuda ko kahan chhoD aai ho
tumhaari namazon ka nur kahan rah gaya hai
dekho
hamare ma-bain
ek daldal hai
aur is daldal mein
ek chand phansa hua hai
jo tumhaare qadam nap raha hai
- Book : aazaadii ke baad delhi men urdu nazm (Pg. 222)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.