hamari guDiya
guḌiyā hamārī
hai pyārī pyārī
guḌiyā ne pahne
phūloñ ke gahne
guḌiyā ne oḌhī
goTe kī chunarī
guḌiyā ne dekhe
mele tamāshe
guḌiyā ne khaa.e
khīleñ batāshe
guḌiyā kī sūrat
chīnī kī mūrat
guḌiyā kī palkeñ
gāloñ pe jhalkeñ
guḌiyā hai soī
ḳhvāboñ meñ khoī
guḌiyā hai hañstī
guḌiyā hai rotī
guḌiyā se khelūñ
godī meñ le luuñ
guḌiyā ne rakkhā
kal pahlā roza
guḌiyā ye merī
chhoTī bahan hai
guDiya hamari
hai pyari pyari
guDiya ne pahne
phulon ke gahne
guDiya ne oDhi
goTe ki chunari
guDiya ne dekhe
mele tamashe
guDiya ne khae
khilen batashe
guDiya ki surat
chini ki murat
guDiya ki palken
galon pe jhalken
guDiya hai soi
KHwabon mein khoi
guDiya hai hansti
guDiya hai roti
guDiya se khelun
godi mein le lun
guDiya ne rakkha
kal pahla roza
guDiya ye meri
chhoTi bahan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.